Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 19 Related Surah: 95. Surah Teen, 97. Surah Qadar and 98. Surah Bayyanah
- Pehli 5 ayaat pehli wahi thi. Nabi ﷺ gaar-e-Hira m gor o fikr kiya krte thy. Wahan Jibrail Amin aye aor Nabi ﷺ ko kaha
Parho apne Rab ka naam le kr
. - Aagy wali ayaat galiban Abu Jahil k Huzoor Akram ﷺ k sath jo badtamizi ki thi uska jawab hai
- Abu Jahal ne Aan Hazrat ko Haram paak m Namaz parhne se mana kiya tha.
- Aor sath sath dhamkaya b tha k wo Apne majlis k sathi sardar b apne sath le aye ga.
- To Allah paak ne b kaha tm apne sathion ko bula ao aor hum jahanam k farishto ko bulaen gy.
- Shru wali 5 ayaat Islam ki pehli wahi
- Gaar-e-Hira m Aap ﷺ qayam karte thy aor ghor o fikr karte thy.
- Tou ek din Jabraeel Amin ne aa kr Aap ﷺ ko jhinjhora aor kaha parho!
- Pehla huqam Allak ka naam lena tha - Ilm hasil krna tha. Ilm k Allah ko jaan sakein.
- Allah ne insan ko qalam se ilm sikhaya. Yeh riwayati tareeqa hai.
- Uske ilawa Allah jisko chahy usko ilm aata farmata. Insan ki dil m cheez daal deta
- Jese Aap ﷺ parhle likhy ni thy lekin unko Allah ne bepanah ilm aata farmaya.
- Haqiqat m Insan khulli sarkashi m h.
- Insan ziyadti par amada ho e jata.
- Kiyu k wo directly nai dekhta k usky ooper ko pakar hai.
- Wo samjhta hai k koi ni dekh rha usy.
- Jo galat kam ya zyadti wo kare ga usko koi kuch ni kare ga.
- Insaan mada parst hai (materialistic). Physical laws se darta bs. Moral laws se nai.
- Wo apni taqat aor anaa m aa kar apne aap ko be-niyaz samjhta hai.
- Halaan k sab ko marna hai aor Allah k paas e lotna hai aor hisab dena hai apne amaalon ka.
- Abu Jahal ne Aap ﷺ ko kaha k agar aap ne yahan namaz parhi to ma'za Allah me aap ka sar kuchal daal du ga.
- Aor yeh b k wo apne majlis k sathi sardar le aayega.
- Allah ne b farmaya k hum us par Jahannam k farishty bejh dengy.
- Namaz rokne wala b koi banda ho sakta jo Allah ki baat ko jhutlata ho
- Haalan k yeh kaam to hidayat wala hai.
- Yahan ishara Abu Jahal wale qisse ki taraf hai.
- Abu Jahal haalan k sab jaanta tha. Ilm rakhta tha. Lekin Apne ana aor hatdharmi ki wajha se Allah ki baton ko jhutlaata tha.
- Ese logo ko khabardar kiya gya k baaz ajao warna enko inki peshani k baalon se pakra jaye ga. Jo jhooti hongi.
- Abu Jahal ko challenge kiya gaya k wo b bulaly apne saathi. Allah b Jahnnam k farishty bejh de ga.
- Abu Jahal ruk gaya tha warna Jahannam k farishty us waqt usko noch daalty.
- Ek to ese logon ki baat nai maan'ni jo aapk ko namaz se rok rahy ho ya naik amal se.
- Dusra Sajda karo. Aor Allah k qareeb aao.
- Sajida karne se Allah k qareeb aata banda.
- Sajida m insaan Allah k bht qareeb hota poori namaz m. Wo Allah se uski qudrat ki tareef karta aor apni maghraft aor Uski hiddayat maangne k liye gira rehta.