Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 8 Related Surah: 96. Surah Alaq, 97. Surah Qadar and 98. Surah Bayyanah
- Teen (Injeer) ki. (Teen wo jagha jo Hazrat Nooh se wabasta hai).
- Zaitoon ki. (Yeh Falasteen ke us jagha zyada paye jaty thy jahan Hazrat Esa ko Injeel ataa ki gayi).
- Sehra e Seena ke Toor pahaar ki. (Hazrat Moosa ko yahan Toraat ataa ki gayi yahan).
- Aor aman wala shehr (Makkah) ki. (Jahan Quran Paak nazul kiya gaya tha Muhammad ﷺ par)
- Asal maqsad in shaqsiyat ka zikar kerna hai ke yeh log bhi to hein jo duniya mein ek buland makaam par ponchy.
- Insaan ko best skeleton/dhanchy mein peda kiya gya hai.
- Insan sirf shar e shar nai. Insan ko to buht e umda banaya gya hai yeh to hum logon ne apne aap par zulm kiya howa.
- Insan ka roohani wajood sab se ooncha hai lekin hewani wajood sab se nicha pastt hai.
- Insaano ko (Mushrikon ko) sabse nichli halat mein dala jaye ga yaani jahannam mein.
- Yeh apni hewani mein aakr dar haqeeqat nichy pohcha hai insan.
- Iman lana (Allah ki pehchaan).
- Naik amal karna (apni mehnat).
- Esa krne walo ko na khatam hony wala ajar mily ga.
- Insan ko kiya cheez saza aor jaza ko jhutlany par amada kar rahi hai?
- Yeh sab misalein oonchi hastiyoon ke aor bulandi k rasta aor pastti jany walo ka rasta aor un dono ki saza aor jaza ke baad bhi kiya cheez kia wajha hai jo insaan ko ghaflat mein daly howe hai?
- Kiya insan nai yaqeen rakhta ke Allah paak sab huqumrano se bara huqumran hai aor wohi hai jo akela tamaam jahano ka huqumran aor maalim hai.
- Jab sab se bara huqumraan agar hum tasleem karte hain Allah ko to phr uska insaaf bhi sab se bara hoga.