Classification: Makki Rukus: 2 Ayahs: 46 Subject: Resurrection Related Surah: 80. Surah Abasa
- Iss Surah m Kufaar ka Qayyamat k aor dubara zinda kiye jaany k bare Huzoor ﷺ se sawalat ka zikar kiya gaya hai.
- Wo Aap ﷺ se poochty thy k batein kab aye gi Qayyamat.
- To iss surah me Allah Paak bayyan karte hein k wo to ilm Allah k paas hai.
- Farishto ki qasam, rooh qabz karne waly
- Zameen larze gi.
- Kitne dil khof se darke gy.
- Asmaano ka banana.
- Raat ka andhera.
- Din ki dhoop.
- Zameen ka bichana, aor paani aor chaara ka us nikalna.
- Aor paharo ka qaim karna.
- Yeh sab inaam hn Allah Paak k.
- Qayyamat k din hosh aye gi insaan ko.
- Jisne Qufr kiya aor duniyawi zindagi ko tarjee di us k liye Jahannam thikana hai.
- Jo Allah se darta raha aor nafs par qabu rakha, unky liye Jannat thikana hai.
- Huzoor ﷺ se log poochty k Qayyamat kab aye gi.
- Bata diya gaya apka yeh kam nai, uski khabar Rabb ki taraf se hain.
- Aap to khabardaar krne waly ho uska.
- Insan ko apni saari zindagi ek din jesi maloom hogi.
- Jese humein aaj b apni guzri hui zindagi mehsoos hoti.