Skip to content

Latest commit

 

History

History
55 lines (37 loc) · 1.8 KB

80_Surah_Abasa.md

File metadata and controls

55 lines (37 loc) · 1.8 KB

Number 80: Surah Abas

Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 42 Subject: Resurrection Related Surah: 79. Surah Nazi'at

Background

  1. ‌Jo muaashre m zyada muassar log h unko dawat qabool krne se zyada asar parta h ... isi liye Aap ﷺ ki yehi koshish hoti thi aor wo un par zyada mehnat aor koshesh krty thy.
  2. Huzoor ﷺ unko baar baar quran parh kr sunaty thy taa k wo naseehat hasil kar lein.
  3. Yeh ayaat tab aayin jab jb Aap ﷺ ek gruh ko Quran suna rhe thy aor ek naabina sahabi aap ﷺ ko baar bar mutaqajah kar rhe thy.

‌Huzoor ﷺ aor ek naabina sahabi ka qissa

  1. ‌Aap ﷺ k maathy par shikn aagyi thi.
  2. Aap ﷺ jb ek gruh ko dawat de rhe thy us doran ek naabina sahabi baar bar Huzoor ko mutawaja kar rha tha.

‌Tableeg ka takaza

  1. Takaza to yeh h k aap ﷺ khabardar krein logo ko.
  2. Baqi jo Quran se faida uthana chahtaa ho wo utha le ga. Jo ni to nai.
  3. Yeh (Quran) to aik naseehat hai.

‌Aap ﷺ ka kaam

  1. ‌Aap ﷺ ka kaam to bs khabardar krna hai - Yaani Qayyamat k bare me aor Allah se darne k bare me.

Allah Paak quran ki izzat aor shaan

  1. ‌Quran to loh-e-mahfooz mai hai.
  2. Buland maqam par.
  3. Paak sahifo m.
  4. Jisko koi ni chhu sakta siwai usky jo nihayat pakeeza ho.

Huzoor ﷺ un par tawajjha dein jo quran ki taleem lena chahein

Insan ki zindagi ka safar

  1. ‌Insan ki ek boond se pedaish se lekr qabar tk ka bataya gya hai.
  2. Lekin insan ne apna muqsad ni poora kiya.

‌Allah ki nematein aor insan ki zaroortein

  1. ‌Khana, aasman se paani barasna, zameen se anaj, fruit aor charaya.

‌Qayyamat ka naqsha

  1. Us din insaan baghy ga apne bhai baa bete se.
  2. Jb Qayyamt aye gi.
  3. Nafsi nafsi ka mahol hoga.
  4. ‌Boht chehre roshan hongy.
  5. Khushi mana rhe hongy.
  6. ‌Kuch logo k moo par dhool hogi jo k qafir hongy.