Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 21 Subject: Zindagi aor aakhrat ke 2 intekhaab. Related Surah: 91. Surah Shams
- Yeh surah bhi usi dor mein nazil hui thi jab surah Shams hui thi.
- Surah shams mein achhai aor burai ka bayyan hai aor burai se khabardar kiya gaya hai.
- Iss surah un 2 raaston par chalne waly logon ke osaaf aor anjaam bataya gaye hai.
- Raat ki.
- Din ki.
- Us zaat ki jis ne nar mada banaya yane har cheez ko jore me banaya.
- Yaani jahan raat ka andhera paida kiya wahan din ka ujhala bhi peda kiya.
- Jahan baddi insaan mein daali wahaan naiki bhi hai.
- Ab insaan par hai ke wo kis raasty par chalta.
- Har kisi ki mehnat alag alag hai.
- Neki ka rah jannat ko jata aor baddi ki rah dozakh ko.
- Ab har ek ki mehnat usko apni rah le jaye gi.
- Allah ki raah mein maal dena.
- Taqwa akhtiyar karna.
- Sab se achi baat ko dil se lagana (yani Islam/Haq ko aor uske nateejy Jannat ko).
- Tou Allah us shakh ko tayyari kara dega Jannat ki.
- Jis ne bukhal se kaam liya (Allah ki rah m maal ni dya, bacha bacha kar rakha).
- Allah se be-niyazi akhtyar ki.
- Sab se achi bat ko jutlaya (yani Islam/Haq se mooh phera aor usky nateejy Jannat se).
- Tou Allah ese shakhs ko usky nateejy se us trh ki tayyari karaega jo k dozakh ko le jaye ga.
- Esa shakhs ka maal dozakh ke garhe mein uski koi madad ni kre ga.
- Yani Jannat aor Dozakh ka rasta chun'na insaan ki apni mehnat hai.
- Rasta dikhana Allah ki zimedari hai.
- Duniya aor aakhrat Allah k qabze me hain.
- Dozakh se khabardar kiya gaya hai jisne bht barakti hui aag hai.
- Us me wo shaks jaye ga jisne haq ko jutlaya.
- Usko jannat waly logo se door kiya jaye ga
- Wo log jo pakizgi akhtyar krne k liye Allah ki rah mein maal deta hai.
- Wo jo sab Allah ki khushnoodi ke liye karta hai hai.
- Esa shakhs anqareeb khush hojaye ga.
- Yani usko itna diya jaye ga ke khush hojaye ga.
- Kafi tafseer k aalimo ka khayal h k yeh Hazrat Abu Bakr ki tareef mein kahy hui ayaat hn. Kiyu un mein yeh 3 osaaf mojood theen. Albatah mafhoom aam sab ke liye hai.