Skip to content

Latest commit

 

History

History
44 lines (30 loc) · 1.33 KB

87_Surah_Aala.md

File metadata and controls

44 lines (30 loc) · 1.33 KB

Number 87: Surah Alaa

Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 26 Subject: Tauhid, Huzur ﷺ ke liye hidayat aor aakhrat Related Surah: 88. Surah Ghashia

Background

  1. Huzur ﷺ Quran ko jaldi jaldi parha karte thy jb wahi nazul hoti thi ta k usko jaldi se yaad kr lein.
  2. Allah Paak ne unhain tassali aor hidayat farmayi k yeh kaam Hum khud e aapko yad kara lein gy.
  3. ‌Huzur ﷺ Jummah aor Eidain ko yeh parha karte thy kiyu ke isme tazkeer hai.

‌Paki bayyan karo Allah k naam ki jo bht aala hai

Takhleeq aor andaaz

  1. ‌Takhleeq aor andaza muqarar kiya h aor jibli hidayat ata ki hai Allah pak ne.
  2. ‌Wohi jo chara nikalta hai.

Aap ﷺ ko Quran yaad karana

  1. ‌Nabi hum apko quran yad kara deingy.
  2. ‌Allah sab janta hai dilo ka khayal.
  3. ‌Ahista ahista hum apko yaad karaty rahengy.

Aap ﷺ hidayat/dawat dete rahein

  1. ‌Ap yadihani karate rahen.
  2. Jiske dil me imaan hai usko faida hoga jiske dil me jhutlana h unko nai.
  3. Jo bari aag me jaye ga.
  4. Jo na zindo ga na murdo me.

Kamyab shaks

  1. ‌Kamyab howa jisne tazkiya kiya ya paaki payi.
  2. Apne rab ka naam liya aor namaz parhi.

Duniya ki zindagi ko tarjee dena

  1. ‌Insaan duniya ki cheez ko tarjee deta hai.
  2. ‌Jab k aakhirta behtr hai aor baqi rehne wali hai.
  3. ‌Ibrahim aor moosa k sahifo mein bhi yehi tha.