- Classification: Makki
- Rukus: 2
- Ayahs: 30
- Subject: Allah ki baadshahat (sovereignty of Allah)
- Related Surah
- Group of 10 Surahs
-
- Surah Qalam, 69. Surah Haqqah, 70. Surah Ma'arij, 71. Surah Nuh, 72. Surah Jin, 73. Surah Muzammil, 74. Surah Muddasir, 75. Surah Qiyamah, 76. Surah Insan
-
- Sub group: 68. Surah Qalam, 69. Surah Haqqah
- Group of 10 Surahs
- Is surah ko raat ke waqt tilawat karne ki talqain ki gayi hai.
- Lihaza raat k waqt es surah ko ek bar parhna afzal hai.
- Yeh zindagi ek imtehan hai ta k har ek ko pata lag jaye lag jaye apne natijy ka.
- 7 Aasimano ki khalkiyat
- Is sab me koi b galti nikalne ki challenge aor sath me yeh b k koi ni nikal paye ga.
- Ager khalkiyat aor makhlooq itni perfect hai to Khaliq kitna perfect aor aa'ala hoga.
- Asal baat yehi hai, jis par gor karna chahye.
- Unke liye jo kufr karne waly hain.
- Jab woh log isme daale jaye gy to wo dhaar rahi hogi (uchchal rahi hogi), yani wo bhookhi hogi, ese lag raha hoga k wo anqareeb phat na jaye.
- Daroga ka sawal: kiya tum logo ke paas koi khabardar karne wala ni aya tha?
- Woh log bataye gy k e aya tha lekin woh log mukar gaye thy.
- Kahen gy ke agar wo aqal waly hoty, sun'ne walo me se hoty to woh is din es halat me na hoty.
- Yani woh apne asal gunah k aitraf karengy.
- Asal gunah: Allah ki baton ko sun kar un'suna kar dena, un baton se mukar jana.
- Hum log jo chupaty hain ya dikhaty hain sab ki khabar hai Allah ko.
- Jo banany wala hota usko apni cheez ke bare me sab maloom hota.
- Allah ki nimat.
- Zameen insan k taab'i kar gi gayi hai.
- Yani us par insan chal sakta hai.
- Us par ghar bana kar reh sakta hai.
- Us mein se rizq (fasal) ugha sakta hai.
- Lekin wapsi Allah ke paas e jana hai.
- Insaan ko khof ni aata ke uska maalik usko zameen me dhansa de ya tez aandhi aye aor use le jaye.
- Usko phr maloom hoga ke Allah ka dharana kesa hai.
- Jis tarah pehle ki qoamon ko pata laga jb un par azab e Ilahi aya.
- Kis tarah parinde aasmaan mein be-khof urh rahe hy hain.
- Woh b ek Allah ki ek qudrat hai.
- Beshak wo b koi physics ka qanoon k mutabiq sab kuch ho raha lekin wo b Allah ka e banaya howa hai.
- Allah kaafiro ke khilaf madad dene wala hai
- Aor rizq bhi wohi dene wala hai
- Ek jo seedha chala raha ho.
- Woh jisko apni manzil aor rasta bilkul saaf saaf nazar aa raha.
- Dusra jo oondha chal raha ho.
- Yeh instinct par chal rha hai, kuch pata ni aagy kia hoga. Bs jis tarah halat usko aagy lete jayen.
- Usko ni pata ke yeh duniyawi zindagi ka ant kiya hai, us se aagy kiya hai, uski kiya planning hai.
- Kon sahi rasty par hai? Yeh sochne walo ke liye ek sawal hai.
- Allah ne insaan ko kaan diye ta k unka estimal karke wo ilm haasil kare.
- Aankhen di ta k unka istemal karke cheezon ko dekh saky.
- Lekin yeh sab Allah ka diya howa, yeh sab istemal karke usko Allah ko pehchan'na hai.
- Aor aakhir mein Allah ke pass jana hai.
- Qayamt ke bare Aaap ﷺ se poochty thy kaafir.
- Uska ilm bs Allah ke paas hai.
- Qayamat dekhne se kaafiron ke chechre aor hulye bighar jayen gy.
- Unse kaha jaye ga k yehi hai wo cheez jis ke bare me tum loh poochty thy ke wo azaab kab aye ga.
- Kafiron ko bataya gya ke Allah musalmano ko azaab de ya chorde lekin unko kon bachaye ga?
- Allah boht Rahman aor Raheem hai.
- Allah ke siwa kon hai hamara jo hamein wo sab nimatein ataa farmaye jo Woh deta hai.
- Jis tarah paani ka misal lia jaye ke ager zameen ka paani sookh jaye to kon hai jo hamein wo paani la de ga?