-
Notifications
You must be signed in to change notification settings - Fork 1
/
Copy pathdataset.txt
1379 lines (1379 loc) · 78 KB
/
dataset.txt
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28
29
30
31
32
33
34
35
36
37
38
39
40
41
42
43
44
45
46
47
48
49
50
51
52
53
54
55
56
57
58
59
60
61
62
63
64
65
66
67
68
69
70
71
72
73
74
75
76
77
78
79
80
81
82
83
84
85
86
87
88
89
90
91
92
93
94
95
96
97
98
99
100
101
102
103
104
105
106
107
108
109
110
111
112
113
114
115
116
117
118
119
120
121
122
123
124
125
126
127
128
129
130
131
132
133
134
135
136
137
138
139
140
141
142
143
144
145
146
147
148
149
150
151
152
153
154
155
156
157
158
159
160
161
162
163
164
165
166
167
168
169
170
171
172
173
174
175
176
177
178
179
180
181
182
183
184
185
186
187
188
189
190
191
192
193
194
195
196
197
198
199
200
201
202
203
204
205
206
207
208
209
210
211
212
213
214
215
216
217
218
219
220
221
222
223
224
225
226
227
228
229
230
231
232
233
234
235
236
237
238
239
240
241
242
243
244
245
246
247
248
249
250
251
252
253
254
255
256
257
258
259
260
261
262
263
264
265
266
267
268
269
270
271
272
273
274
275
276
277
278
279
280
281
282
283
284
285
286
287
288
289
290
291
292
293
294
295
296
297
298
299
300
301
302
303
304
305
306
307
308
309
310
311
312
313
314
315
316
317
318
319
320
321
322
323
324
325
326
327
328
329
330
331
332
333
334
335
336
337
338
339
340
341
342
343
344
345
346
347
348
349
350
351
352
353
354
355
356
357
358
359
360
361
362
363
364
365
366
367
368
369
370
371
372
373
374
375
376
377
378
379
380
381
382
383
384
385
386
387
388
389
390
391
392
393
394
395
396
397
398
399
400
401
402
403
404
405
406
407
408
409
410
411
412
413
414
415
416
417
418
419
420
421
422
423
424
425
426
427
428
429
430
431
432
433
434
435
436
437
438
439
440
441
442
443
444
445
446
447
448
449
450
451
452
453
454
455
456
457
458
459
460
461
462
463
464
465
466
467
468
469
470
471
472
473
474
475
476
477
478
479
480
481
482
483
484
485
486
487
488
489
490
491
492
493
494
495
496
497
498
499
500
501
502
503
504
505
506
507
508
509
510
511
512
513
514
515
516
517
518
519
520
521
522
523
524
525
526
527
528
529
530
531
532
533
534
535
536
537
538
539
540
541
542
543
544
545
546
547
548
549
550
551
552
553
554
555
556
557
558
559
560
561
562
563
564
565
566
567
568
569
570
571
572
573
574
575
576
577
578
579
580
581
582
583
584
585
586
587
588
589
590
591
592
593
594
595
596
597
598
599
600
601
602
603
604
605
606
607
608
609
610
611
612
613
614
615
616
617
618
619
620
621
622
623
624
625
626
627
628
629
630
631
632
633
634
635
636
637
638
639
640
641
642
643
644
645
646
647
648
649
650
651
652
653
654
655
656
657
658
659
660
661
662
663
664
665
666
667
668
669
670
671
672
673
674
675
676
677
678
679
680
681
682
683
684
685
686
687
688
689
690
691
692
693
694
695
696
697
698
699
700
701
702
703
704
705
706
707
708
709
710
711
712
713
714
715
716
717
718
719
720
721
722
723
724
725
726
727
728
729
730
731
732
733
734
735
736
737
738
739
740
741
742
743
744
745
746
747
748
749
750
751
752
753
754
755
756
757
758
759
760
761
762
763
764
765
766
767
768
769
770
771
772
773
774
775
776
777
778
779
780
781
782
783
784
785
786
787
788
789
790
791
792
793
794
795
796
797
798
799
800
801
802
803
804
805
806
807
808
809
810
811
812
813
814
815
816
817
818
819
820
821
822
823
824
825
826
827
828
829
830
831
832
833
834
835
836
837
838
839
840
841
842
843
844
845
846
847
848
849
850
851
852
853
854
855
856
857
858
859
860
861
862
863
864
865
866
867
868
869
870
871
872
873
874
875
876
877
878
879
880
881
882
883
884
885
886
887
888
889
890
891
892
893
894
895
896
897
898
899
900
901
902
903
904
905
906
907
908
909
910
911
912
913
914
915
916
917
918
919
920
921
922
923
924
925
926
927
928
929
930
931
932
933
934
935
936
937
938
939
940
941
942
943
944
945
946
947
948
949
950
951
952
953
954
955
956
957
958
959
960
961
962
963
964
965
966
967
968
969
970
971
972
973
974
975
976
977
978
979
980
981
982
983
984
985
986
987
988
989
990
991
992
993
994
995
996
997
998
999
1000
roñdī huī hai kaukaba-e-shahryār kī
itrā.e kyuuñ na ḳhaak sar-e-rahguzār kī
jab us ke dekhne ke liye aa.eñ bādshāh
logoñ meñ kyuuñ numūd na ho lāla-zār kī
bhūke nahīñ haiñ sair-e-gulistāñ ke ham vale
kyūñkar na khā.iye ki havā hai bahār kī kyā tañg ham sitam-zadagāñ kā jahān hai
jis meñ ki ek baiza-e-mor āsmān hai
hai kā.enāt ko harakat tere zauq se
partav se āftāb ke zarre meñ jaan hai
hālāñki hai ye sīli-e-ḳhārā se laala rañg
ġhāfil ko mere shīshe pe mai kā gumān hai
kī us ne garm sīna-e-ahl-e-havas meñ jā
aave na kyuuñ pasand ki ThanDā makān hai
kyā ḳhuub tum ne ġhair ko bosa nahīñ diyā
bas chup raho hamāre bhī muñh meñ zabān hai
baiThā hai jo ki sāya-e-dīvār-e-yār meñ
farmāñ-ravā-e-kishvar-e-hindūstān hai
hastī kā e'tibār bhī ġham ne miTā diyā
kis se kahūñ ki daaġh jigar kā nishān hai
hai baare e'timād-e-vafā-dārī is qadar
'ġhālib' ham is meñ ḳhush haiñ ki nā-mehrbān hai
dehlī ke rahne vaalo 'asad' ko satāo mat
be-chāra chand roz kā yaañ mehmān hai ho ga.ī hai ġhair kī shīrīñ-bayānī kārgar
ishq kā us ko gumāñ ham be-zabānoñ par nahīñ
zabt se matlab ba-juz vārastagī dīgar nahīñ
dāman-e-timsāl āb-e-ā.ina se tar nahīñ
bā.is-e-īzā hai barham-ḳhurdan-e-bazm-e-surūr
laḳht laḳht-e-shīsha-e-ba-shkasta juz nishtar nahīñ
dil ko iz.hār-e-suḳhan andāz-e-fat.h-ul-bāb hai
yaañ sarīr-e-ḳhāma ġhair-az-istikāk-e-dar nahīñ laraztā hai mirā dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshāñ par
maiñ huuñ vo qatra-e-shabnam ki ho ḳhār-e-bayābāñ par
na chhoḌī hazrat-e-yūsuf ne yaañ bhī ḳhāna-ārā.ī
safedī dīda-e-yāqūb kī phirtī hai zindāñ par
fanā tālīm-e-dars-e-be-ḳhudī huuñ us zamāne se
ki majnūñ laam alif likhtā thā dīvār-e-dabistāñ par
farāġhat kis qadar rahtī mujhe tashvīsh-e-marham se
baham gar sulh karte pāra-hā-e-dil namak-dāñ par
nahīñ iqlīm-e-ulfat meñ koī tūmār-e-nāz aisā
ki pusht-e-chashm se jis kī na hove mohr unvāñ par
mujhe ab dekh kar abr-e-shafaq-ālūda yaad aayā
ki furqat meñ tirī ātish barastī thī gulistāñ par
ba-juz parvāz-e-shauq-e-nāz kyā baaqī rahā hogā
qayāmat ik havā-e-tund hai ḳhāk-e-shahīdāñ par
na laḌ nāseh se 'ġhālib' kyā huā gar us ne shiddat kī
hamārā bhī to āḳhir zor chaltā hai garebāñ par
dil-e-ḳhūnīñ-jigar be-sabr-o-faiz-e-ishq-e-mustaġhnī
ilāhī yak qayāmat ḳhāvar aa TuuTe badaḳhshāñ par
'asad' ai be-tahammul arbada be-jā hai nāseh se
ki āḳhir be-kasoñ kā zor chaltā hai garebāñ par husn-e-be-parvā ḳharīdār-e-matā-e-jalva hai
aa.ina zānū-e-fikr-e-iḳhtirā-e-jalva hai
tā-kujā ai āgahī rañg-e-tamāshā bāḳhtan
chashm-e-vā-gardīda āġhosh-e-vidā-e-jalva hai gulshan meñ bandobast ba-rañg-e-digar hai aaj
qumrī kā tauq halqa-e-bairūn-e-dar hai aaj
aatā hai ek pāra-e-dil har fuġhāñ ke saath
tār-e-nafas kamand-e-shikār-e-asar hai aaj
ai āfiyat kināra kar ai intizām chal
sailāb-e-girya darpai-e-dīvār-o-dar hai aaj
ma.azūlī-e-tapish huī ifrāt-e-intizār bas-ki dushvār hai har kaam kā āsāñ honā
aadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honā
Tis difficult that every goal be easily complete
For a man, too, to be human, is no easy feat
girya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne kī
dar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honā
My tears seek destruction of my humble abode
My hearth and home relentlessly does wilderness erodeza-bas-ki mashq-e-tamāshā junūñ-alāmat hai
kushād-o-bast-e-mizhah sīli-e-nadāmat hai
na jānūñ kyūñki miTe dāġh-e-ta.an-e-bad-ahdī
tujhe ki aa.ina bhī varta-e-malāmat hai
ba-pech-o-tāb-e-havas silk-e-āfiyat mat toḌ
nigāh-e-ajz sar-e-rishta-e-salāmat hai
vafā muqābil-o-dāvā-e-ishq be-buniyād barshikāl-e-girya-e-āshiq hai dekhā chāhiye
khil ga.ī mānind-e-gul sau jā se dīvār-e-chaman
ulfat-e-gul se ġhalat hai dāva-e-vārastagī
sarv hai bā-vasf-e-āzādī giraftār-e-chaman
saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzār-e-chaman
jānashīn-e-jauhar-e-ā.īna hai ḳhār-e-chaman
hai nazākat bas ki fasl-e-gul meñ me.amār-e-chaman dahr meñ naqsh-e-vafā vaj.h-e-tasallī na huā
hai ye vo lafz ki sharminda-e-ma.anī na huā
sabza-e-ḳhat se tirā kākul-e-sarkash na dabā
ye zamurrad bhī harīf-e-dam-e-af.ī na huā
maiñ ne chāhā thā ki andoh-e-vafā se chhūTūñ
vo sitamgar mire marne pe bhī raazī na huā
dil guzargāh-e-ḳhayāl-e-mai-o-sāġhar hī sahī nashsha-hā shādāb-e-rañg o sāz-hā mast-e-tarab
shīsha-e-mai sarv-e-sabz-e-jū-e-bār-e-naġhma hai
ham-nashīñ mat kah ki barham kar na bazm-e-aish-e-dost
vaañ to mere naale ko bhī e'tibār-e-naġhma hai zikr merā ba-badī bhī use manzūr nahīñ
ġhair kī baat bigaḌ jaa.e to kuchh duur nahīñ
vada-e-sair-e-gulistāñ hai ḳhushā tāle-e-shauq
muzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkūr nahīñ
shāhid-e-hastī-e-mutlaq kī kamar hai aalam
log kahte haiñ ki hai par hameñ manzūr nahīñ
qatra apnā bhī haqīqat meñ hai dariyā lekin ā.īna dekh apnā sā muñh le ke rah ga.e
sāhab ko dil na dene pe kitnā ġhurūr thā
qāsid ko apne haath se gardan na māriye
us kī ḳhatā nahīñ hai ye merā qusūr thā
zof-e-junūñ ko vaqt-e-tapish dar bhī duur thā
ik ghar meñ muḳhtasar bayābāñ zarūr thā
ai vā.e-ġhaflat-e-nigah-e-shauq varna yaañ siyāhī jaise gir jaa.e dam-e-tahrīr kāġhaz par
mirī qismat meñ yuuñ tasvīr hai shab-hā-e-hijrāñ kī
kahūñ kyā garm-joshī mai-kashī meñ sho.ala-rūyāñ kī
ki sham-e-ḳhāna-e-dil ātish-e-mai se farozāñ kī
hamesha mujh ko tiflī meñ bhī mashq-e-terah-rozī thī
siyāhī hai mire ayyām meñ lauh-e-dabistāñ kī
dareġh āh-e-sahar-gah kār-e-bād-e-sub.h kartī hai husn-e-mah garche ba-hañgām-e-kamāl achchhā hai
us se merā mah-e-ḳhurshīd-jamāl achchhā hai
resplendent though the radiance of the full moon may well be
the brilliance of my sun faced beauty's better surely
bosa dete nahīñ aur dil pe hai har lahza nigāh
jī meñ kahte haiñ ki muft aa.e to maal achchhā hai
not willing to give me a kiss, my heart eyes constantly
and in her heart she says this merchandise is good if freesurma-e-muft-e-nazar huuñ mirī qīmat ye hai
ki rahe chashm-e-ḳharīdār pe ehsāñ merā
ruḳhsat-e-nāla mujhe de ki mabādā zālim
tere chehre se ho zāhir ġham-e-pinhāñ merā
ḳhalvat-e-ābila-e-pā meñ hai jaulāñ merā
ḳhuuñ hai dil tañgī-e-vahshat se bayābāñ merā
hasrat-e-nashsha-e-vahshat na ba-sa.i-e-dil hai dhotā huuñ jab maiñ piine ko us sīm-tan ke paañv
rakhtā hai zid se khīñch ke bāhar lagan ke paañv
when I wash the fair one's feet that water for to drink
she stubbornly snatches her feet right out of the sink
dī sādgī se jaan paḌūñ kohkan ke paañv
haihāt kyuuñ na TuuT ga.e pīr-zan ke paañv
for his innocence I'd go and fall at Kohkan's feet
why, alas, an early end, did the crone not meetmastī ba-zauq-e-ġhaflat-e-sāqī halāk hai
mauj-e-sharāb yak-mizha-e-ḳhvāb-nāk hai
juz zaḳhm-e-teġh-e-nāz nahīñ dil meñ aarzū
jeb-e-ḳhayāl bhī tire hāthoñ se chaak hai
josh-e-junūñ se kuchh nazar aatā nahīñ 'asad'
sahrā hamārī aañkh meñ yak-musht-e-ḳhāk hai hujūm-e-ġham se yaañ tak sar-nigūnī mujh ko hāsil hai
ki tār-e-dāman o tār-e-nazar meñ farq mushkil hai
rafū-e-zaḳhm se matlab hai lazzat zaḳhm-e-sozan kī
samajhiyo mat ki pās-e-dard se dīvāna ġhāfil hai
vo gul jis gulsitāñ meñ jalva-farmā.ī kare 'ġhālib'
chaTaknā ġhuncha-e-gul kā sadā-e-ḳhanda-e-dil hai
huā hai māne-e-āshiq-navāzī nāz-e-ḳhud-bīnī diyā hai dil agar us ko bashar hai kyā kahiye
huā raqīb to ho nāma-bar hai kyā kahiye
he's human, gave his heart to her, what can I even say
the messenger's become my foe, so let him be this way
ye zid ki aaj na aave aur aa.e bin na rahe
qazā se shikva hameñ kis qadar hai kyā kahiye
it surely has to come some day, but insists not today
the grievance that I bear 'gainst death, pray, how do I portrayna leve gar ḳhas-e-jauhar tarāvat sabza-e-ḳhat se
lagā.e ḳhāna-e-ā.īna meñ rū-e-nigār ātish
faroġh-e-husn se hotī hai hall-e-mushkil-e-āshiq
na nikle sham.a ke pā se nikāle gar na ḳhaar ātish
sharar hai rañg ba.ad iz.hār-e-tāb-e-jalva-e-tamkīñ
kare hai sañg par ḳhurshīd āb-e-rū-e-kār ātish
panāve be-gudāz-e-mom rabt-e-paikar-ārā.ī qatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parvar huā
ḳhatt-e-jām-e-mai sarāsar rishta-e-gauhar huā
e'tibār-e-ishq kī ḳhāna-ḳharābī dekhnā
ġhair ne kī aah lekin vo ḳhafā mujh par huā
garmī-e-daulat hui ātish-zan-e-nām-e-niko
ḳhāna-e-ḳhātim meñ yāqūt-e-nagīñ aḳhtar huā
nashsha meñ gum-karda-rāh aayā vo mast-e-fitna-ḳhū ye ham jo hijr meñ dīvār-o-dar ko dekhte haiñ
kabhī sabā ko kabhī nāma-bar ko dekhte haiñ
Separation makes me glance, at these my walls and gate
at times for the breeze, at times, for messenger I wait
vo aa.e ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat hai
kabhī ham un ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
that she has come to my home, is God's divinity
At times I look at her face, at times my home I seephir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
dil jigar tishna-e-faryād aayā
I remember my moistened eyes again
My heart's thirsty longing and my pain
dam liyā thā na qayāmat ne hanūz
phir tirā vaqt-e-safar yaad aayā tere tausan ko sabā bāñdhte haiñ
ham bhī mazmūñ kī havā bāñdhte haiñ
aah kā kis ne asar dekhā hai
ham bhī ek apnī havā bāñdhte haiñ
terī fursat ke muqābil ai umr
barq ko pa-ba-hinā bāñdhte haiñ
qaid-e-hastī se rihā.ī ma.alūm ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā
agar aur jiite rahte yahī intizār hotā
That my love be consummated, fate did not ordain
Living longer had I waited, would have been in vain
tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanā
ki ḳhushī se mar na jaate agar e'tibār hotā ḳhatar hai rishta-e-ulfat rag-e-gardan na ho jaave
ġhurūr-e-dostī aafat hai tū dushman na ho jaave
samajh is fasl meñ kotāhi-e-nashv-o-numā 'ġhālib'
agar gul sarv ke qāmat pe pairāhan na ho jaave hai sabza-zār har dar-o-dīvār-e-ġham-kada
jis kī bahār ye ho phir us kī ḳhizāñ na pūchh
nā-chār bekasī kī bhī hasrat uThā.iye
dushvāri-e-rah-o-sitam-e-ham-rahāñ na pūchh
juz dil surāġh-e-dard ba-dil-ḳhuftagāñ na pūchh
ā.īna arz kar ḳhat-o-ḳhāl-e-bayāñ na pūchh
hindostān sāya-e-gul pā-e-taḳht thā ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
to be consumed by oceans is the droplet's ecstasy
when pain exceeds all bounds becomes, itself the remedy
tujh se qismat meñ mirī sūrat-e-qufl-e-abjad
thā likhā baat ke bante hī judā ho jaanā
lock's shackle and body's akin, to meeting in our fate
as soon as everything aligns, we're bound to separatepā-ba-dāman ho rahā huuñ bas-ki maiñ sahrā-navard
ḳhār-e-pā haiñ jauhar-e-ā.īna-e-zānū mujhe
dekhnā hālat mire dil kī ham-āġhoshī ke vaqt
hai nigāh-e-āshnā terā sar-e-har-mū mujhe
huuñ sarāpā sāz-e-āhañg-e-shikāyat kuchh na pūchh
hai yahī behtar ki logoñ meñ na chheḌe tū mujhe
bā.is-e-vāmāndgī hai umr-e-fursat-jū mujhe balā se haiñ jo ye pesh-e-nazar dar-o-dīvār
nigāh-e-shauq ko haiñ bāl-o-par dar-o-dīvār
vufūr-e-ashk ne kāshāne kā kiyā ye rañg
ki ho ga.e mire dīvār-o-dar dar-o-dīvār
nahīñ hai saaya ki sun kar naved-e-maqdam-e-yār
ga.e haiñ chand qadam pesh-tar dar-o-dīvār
huī hai kis qadar arzāni-e-mai-e-jalva nukta-chīñ hai ġham-e-dil us ko sunā.e na bane
kyā bane baat jahāñ baat banā.e na bane
I cannot pour my heart to her, for she does criticize
How can I get my goal when I, cant even verbalize
maiñ bulātā to huuñ us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jaa.e kuchh aisī ki bin aa.e na bane pīnas meñ guzarte haiñ jo kūche se vo mere
kandhā bhī kahāroñ ko badalne nahīñ dete ghar meñ thā kyā ki tirā ġham use ġhārat kartā
vo jo rakhte the ham ik hasrat-e-tāmīr so hai koī ummīd bar nahīñ aatī
koī sūrat nazar nahīñ aatī
no hope is there that now comes to light
nor is there any avenue in sight
maut kā ek din muayyan hai
niind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī
when for death a day has been ordained
what reason that I cannot sleep all night?ibn-e-mariyam huā kare koī
mere dukh kī davā kare koī
Let anyone the son of mary be
How will I know till I find remedy
shar.a o aa.iin par madār sahī
aise qātil kā kyā kare koī
When sanctioned by laws of divinity
For such a killer what can one decree?bīm-e-raqīb se nahīñ karte vidā-e-hosh
majbūr yaañ talak hue ai iḳhtiyār haif
jaltā hai dil ki kyuuñ na ham ik baar jal ga.e
ai nā-tamāmi-e-nafas-e-shola-bār haif jaur se baaz aa.e par baaz aa.eñ kyā
kahte haiñ ham tujh ko muñh dikhlā.eñ kyā
she, even though contrite, torture cannot eschew
says" I'm ashamed, I can't, now show my face to you"
raat din gardish meñ haiñ saat āsmāñ
ho rahegā kuchh na kuchh ghabrā.eñ kyā
night and day the seven skies do perambulate
why should I as something's surely in my fategar tujh ko hai yaqīn-e-ijābat duā na maañg
ya.anī baġhair-e-yak-dil-e-be-mudda.ā na maañg
aatā hai dāġh-e-hasrat-e-dil kā shumār yaad
mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
ai aarzū shahīd-e-vafā ḳhūñ-bahā na maañg
juz bahr-e-dast-o-bāzu-e-qātil duā na maañg
barham hai bazm-e-ġhuncha ba-yak-junbish-e-nashāt donoñ jahān de ke vo samjhe ye ḳhush rahā
yaañ aa paḌī ye sharm ki takrār kyā kareñ
thak thak ke har maqām pe do chaar rah ga.e
terā pata na paa.eñ to nā-chār kyā kareñ
kyā sham.a ke nahīñ haiñ havā-ḳhvāh bazm meñ
ho ġham hī jāñ-gudāz to ġham-ḳhvār kyā kareñ maiñ unheñ chheḌūñ aur kuchh na kaheñ
chal nikalte jo mai piye hote
I tease her and she is tight lippped
she would reply if wine she'd sipped
qahr ho yā balā ho jo kuchh ho
kaash ke tum mire liye hote
trouble torment what you be
If only you were made for mehavas ko hai nashāt-e-kār kyā kyā
na ho marnā to jiine kā mazā kyā
tajāhul-peshgī se mudda.ā kyā
kahāñ tak ai sarāpā naaz kyā kyā
navāzish-hā-e-bejā dekhtā huuñ
shikāyat-hā-e-rañgīñ kā gila kyā
nigāh-e-be-mahābā chāhtā huuñ kare hai baada tire lab se kasb-e-rañg-e-faroġh
ḳhat-e-piyāla sarāsar nigāh-e-gul-chīñ hai
kabhī to is dil-e-shorīda kī bhī daad mile
ki ek umr se hasrat-parast-e-bālīñ hai
bajā hai gar na sune nāla-hā-e-bulbul-e-zār
ki gosh-e-gul nam-e-shabnam se pamba-āgīñ hai
'asad' hai naza.a meñ chal bevafā barā-e-ḳhudā jāda-e-rah ḳhur ko vaqt-e-shām hai tār-e-shuā.a
charḳh vā kartā hai māh-e-nau se āġhosh-e-vidā.a
sham.a se hai bazm-e-añgusht-e-tahayyur dar dahan
sho.ala-e-āvāz-e-ḳhūbāñ par ba-hañgām-e-simā.a
juuñ par-e-tā.ūs jauhar taḳhta mashq-e-rañg hai
bas-ki hai vo qibla-e-ā.īna mahv-e-iḳhtirā.a
ranjish-e-hairat-sarishtāñ sīna-sāfī peshkash manzūr thī ye shakl tajallī ko nuur kī
qismat khulī tire qad-o-ruḳh se zuhūr kī
ik ḳhūñ-chakāñ kafan meñ karoḌoñ banāo haiñ
paḌtī hai aañkh tere shahīdoñ pe huur kī
vaa.iz na tum piyo na kisī ko pilā sako
kyā baat hai tumhārī sharāb-e-tahūr kī
laḌtā hai mujh se hashr meñ qātil ki kyuuñ uThā rahiye ab aisī jagah chal kar jahāñ koī na ho
ham-suḳhan koī na ho aur ham-zabāñ koī na ho
To go and live in such a place where no one else should be
No one there to share one's thoughts no soul for company
be-dar-o-dīvār sā ik ghar banāyā chāhiye
koī ham-sāya na ho aur pāsbāñ koī na ho dard se mere hai tujh ko be-qarārī haa.e haa.e
kyā huī zālim tirī ġhaflat-shi.ārī haa.e haa.e
now for my pain you feel the pangs of severe restlessness
O tyrant what has happened to your creed of callousness
tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham kā hausla
tū ne phir kyuuñ kī thī merī ġham-gusārī haa.e haa.e
if strength, your heart did not possess, this sorrow's storm to bide
my sorrow, to console, alas, you should have never triedshab ki barq-e-soz-e-dil se zahra-e-abr aab thā
sho.ala-e-javvāla har yak halqa-e-girdāb thā
vaañ karam ko uzr-e-bārish thā ināñ-gīr-e-ḳhirām
girye se yaañ pumba-e-bālish kaf-e-sailāb thā
vaañ ḳhud-ārā.ī ko thā motī pirone kā ḳhayāl
yaañ hujūm-e-ashk meñ tār-e-nigah nāyāb thā
jalva-e-gul ne kiyā thā vaañ charāġhāñ aabjū ġham-e-duniyā se gar paa.ī bhī fursat sar uThāne kī
falak kā dekhnā taqrīb tere yaad aane kī
khulegā kis tarah mazmūñ mire maktūb kā yā-rab
qasam khaa.ī hai us kāfir ne kāġhaz ke jalāne kī
lipaTnā parniyāñ meñ shola-e-ātish kā pinhāñ hai
vale mushkil hai hikmat dil meñ soz-e-ġham chhupāne kī
unheñ manzūr apne zaḳhmiyoñ kā dekh aanā thā 'asad' ham vo junūñ-jaulāñ gadā-e-be-sar-o-pā haiñ
ki hai sar-panja-e-mizhgān-e-āhū pusht-ḳhār apnā ug rahā hai dar-o-dīvār se sabza 'ġhālib'
ham bayābāñ meñ haiñ aur ghar meñ bahār aa.ī hai hai bazm-e-butāñ meñ suḳhan āzurda-laboñ se
tañg aa.e haiñ ham aise ḳhushāmad-talaboñ se
hai daur-e-qadah vaj.h-e-pareshānī-e-sahbā
yak-bār lagā do ḳhum-e-mai mere laboñ se
rindān-e-dar-e-mai-kada gustāḳh haiñ zāhid
zinhār na honā taraf in be-adaboñ se
bedād-e-vafā dekh ki jaatī rahī āḳhir naved-e-amn hai bedād-e-dost jaañ ke liye
rahī na tarz-e-sitam koī āsmāñ ke liye
balā se gar mizha-e-yār tishna-e-ḳhūñ hai
rakhūñ kuchh apnī bhī mizhgān-e-ḳhūñ fishāñ ke liye
vo zinda ham haiñ ki haiñ rū-shanās-e-ḳhalq ai ḳhizr
na tum ki chor bane umr-e-jāvedāñ ke liye
rahā balā meñ bhī maiñ mubtala-e-āfat-e-rashk ajab nashāt se jallād ke chale haiñ ham aage
ki apne saa.e se sar paañv se hai do qadam aage
qazā ne thā mujhe chāhā ḳharāb-e-bāda-e-ulfat
faqat ḳharāb likhā bas na chal sakā qalam aage
ġham-e-zamāna ne jhāḌī nashāt-e-ishq kī mastī
vagarna ham bhī uThāte the lazzat-e-alam aage
ḳhudā ke vāste daad us junūn-e-shauq kī denā dar-ḳhur-e-qahr-o-ġhazab jab koī ham sā na huā
phir ġhalat kyā hai ki ham sā koī paidā na huā
bandagī meñ bhī vo āzāda o ḳhud-bīñ haiñ ki ham
ulTe phir aa.e dar-e-ka.aba agar vā na huā
sab ko maqbūl hai da.avā tirī yaktā.ī kā
rū-ba-rū koī but-e-ā.ina-sīmā na huā
kam nahīñ nāzish-e-hamnāmi-e-chashm-e-ḳhūbāñ hai ārmīdagī meñ nikohish bajā mujhe
sub.h-e-vatan hai ḳhanda-e-dandāñ-numā mujhe
DhūñDe hai us muġhanni-e-ātish-nafas ko jī
jis kī sadā ho jalva-e-barq-e-fanā mujhe
mastāna tai karūñ huuñ rah-e-vādi-e-ḳhayāl
tā bāz-gasht se na rahe mudda.ā mujhe
kartā hai bas-ki baaġh meñ tū be-hijābiyāñ muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye hue
josh-e-qadah se bazm charāġhāñ kiye hue
Its been long, since my lover, was a guest of mine
and my house was suffused with the glow of wine
kartā huuñ jam.a phir jigar-e-laḳht-laḳht ko
arsa huā hai dāvat-e-mizhgāñ kiye hue aah ko chāhiye ik umr asar hote tak
kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak
A prayer needs a lifetime, an answer to obtain
who can live until the time that you decide to deign
dām-e-har-mauj meñ hai halqa-e-sad-kām-e-nahañg garm-e-fariyād rakhā shakl-e-nihālī ne mujhe
tab amaañ hijr meñ dī bard-e-layālī ne mujhe
nisyah-o-naqd-e-do-ālam kī haqīqat mālūm
le liyā mujh se mirī himmat-e-ālī ne mujhe
kasrat-ārā.i-e-vahdat hai parastārī-e-vahm
kar diyā kāfir in asnām-e-ḳhayālī ne mujhe
havas-e-gul ke tasavvur meñ bhī khaTkā na rahā bazm-e-shāhanshāh meñ ash.ār kā daftar khulā
rakhiyo yā rab ye dar-e-ganjīna-e-gauhar khulā
shab huī phir anjum-e-raḳhshanda kā manzar khulā
is takalluf se ki goyā but-kade kā dar khulā
garche huuñ dīvāna par kyuuñ dost kā khā.ūñ fareb
āstīñ meñ dashna pinhāñ haath meñ nashtar khulā
go na samjhūñ us kī bāteñ go na pā.ūñ us kā bhed rashk kahtā hai ki us kā ġhair se iḳhlās haif
aql kahtī hai ki vo be-mehr kis kā āshnā
zarra zarra sāġhar-e-mai-ḳhāna-e-nai-rañg hai
gardish-e-majnūñ ba-chashmak-hā-e-lailā āshnā
shauq hai sāmāñ-tarāz-e-nāzish-e-arbāb-e-ajz
zarra sahrā-dast-gāh o qatra dariyā-āshnā
maiñ aur ek aafat kā TukḌā vo dil-e-vahshī ki hai be-e'tidāliyoñ se subuk sab meñ ham hue
jitne ziyāda ho ga.e utne hī kam hue
intemperance reduced my stature midst of company
the more excess I perpetrated, less I seemed to be
pinhāñ thā daam saḳht qarīb āshiyān ke
uḌne na paa.e the ki giraftār ham hue
the net was laid concealed so very close there to my nest
not even had started to fly that came under arrestaa ki mirī jaan ko qarār nahīñ hai
tāqat-e-bedād-e-intizār nahīñ hai
come for my life lacks patience and tranquility
doesn’t have the strength to bear waiting's cruelty
dete haiñ jannat hayāt-e-dahr ke badle
nashsha ba-andāza-e-ḳhumār nahīñ hai
heaven is decreed in lieu, of a life on earth
compared to the hangover of wine there is dearthjahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñ
ḳhayābāñ ḳhayābāñ iram dekhte haiñ
dil-āshuftagāñ ḳhāl-e-kunj-e-dahan ke
suvaidā meñ sair-e-adam dekhte haiñ
tire sarv-qāmat se ik qadd-e-ādam
qayāmat ke fitne ko kam dekhte haiñ
tamāshā ki ai mahv-e-ā.īna-dārī arz-e-nāz-e-shoḳhi-e-dandāñ barā.e-ḳhanda hai
dāvā-e-jamiyat-e-ahbāb jā-e-ḳhanda hai
hai adam meñ ġhuncha mahv-e-ibrat-e-anjām-e-gul
yak-jahāñ zaanū ta.ammul dar-qafā-e-ḳhanda hai
kulfat-e-afsurdagī ko aish-e-betābī harām
varna dandāñ dar dil afshurdan binā-e-ḳhanda hai
shorish-e-bātin ke haiñ ahbāb munkir varna yaañ dekh kar dar-parda garm-e-dāman-afshānī mujhe
kar ga.ī vābasta-e-tan merī uryānī mujhe
ban gayā teġh-e-nigāh-e-yār kā sañg-e-fasāñ
marhabā maiñ kyā mubārak hai girāñ-jānī mujhe
kyuuñ na ho be-iltifātī us kī ḳhātir jam.a hai
jāntā hai mahv-e-pursish-hā-e-pinhānī mujhe
mere ġham-ḳhāne kī qismat jab raqam hone lagī ek ek qatre kā mujhe denā paḌā hisāb
ḳhūn-e-jigar vadī.at-e-mizhgān-e-yār thā
ab maiñ huuñ aur mātam-e-yak-shahr-ārazū
toḌā jo tū ne aa.ina timsāl-dār thā
galiyoñ meñ merī na.ash ko khīñche phiro ki maiñ
jāñ-dāda-e-havā-e-sar-e-rahguzār thā
mauj-e-sarāb-e-dasht-e-vafā kā na pūchh haal ek jā harf-e-vafā likkhā thā so bhī miT gayā
zāhiran kāġhaz tire ḳhat kā ġhalat-bar-dār hai
jī jale zauq-e-fanā kī nā-tamāmī par na kyuuñ
ham nahīñ jalte nafas har chand ātish-bār hai
aag se paanī meñ bujhte vaqt uThtī hai sadā
har koī darmāndagī meñ naale se nā-chār hai
hai vahī bad-masti-e-har-zarra kā ḳhud uzr-ḳhvāh gila hai shauq ko dil meñ bhī tañgi-e-jā kā
guhar meñ mahv huā iztirāb dariyā kā
ye jāntā huuñ ki tū aur pāsuḳh-e-maktūb
magar sitam-zada huuñ zauq-e-ḳhāma-farsā kā
hinā-e-pā-e-ḳhizāñ hai bahār agar hai yahī
davām-e-kulfat-e-ḳhātir hai aish duniyā kā
ġham-e-firāq meñ taklīf-e-sair-e-bāġh na do fariyād kī koī lai nahīñ hai
naala pāband-e-nai nahīñ hai
no tune is needed by a sigh
laments do not on flutes rely
kyuuñ bote haiñ bāġhbāñ toñbe
gar baaġh gadā-e-mai nahīñ hai
why gourds do gardeners now plant
if wine, the garden does not wantruḳh-e-nigār se hai soz-e-jāvidānī-e-sham.a
huī hai ātish-e-gul āb-e-zindagānī-e-sham.a
zabān-e-ahl-e-zabāñ meñ hai marg-e-ḳhāmoshī
ye baat bazm meñ raushan huī zabānī-e-sham.a
kare hai sarf ba-īmā-e-sho.ala qissa tamām
ba-tarz-e-ahl-e-fanā hai fasāna-ḳhvānī-e-sham.a
ġham us ko hasrat-e-parvāna kā hai ai sho.ale dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī davā kyā hai
Foolish heart what ails you pray?
Can antidotes this ache allay?
ham haiñ mushtāq aur vo be-zār
yā ilāhī ye mājrā kyā hai ḳhamoshiyoñ meñ tamāshā adā nikaltī hai
nigāh dil se tire surma-sā nikaltī hai
fashār-e-tañgī-e-ḳhalvat se bantī hai shabnam
sabā jo ġhunche ke parde meñ jā nikaltī hai
na pūchh sīna-e-āshiq se āb-e-teġh-e-nigāh
ki zaḳhm-e-rauzan-e-dar se havā nikaltī hai
ba-rañg-e-shīsha huuñ yak-gosha-e-dil-e-ḳhālī mujh ko dayār-e-ġhair meñ maarā vatan se duur
rakh lī mire ḳhudā ne mirī bekasī kī sharm
vo halqa-hā-e-zulf kamīñ meñ haiñ yā ḳhudā
rakh liijo mere dāva-e-vārastagī kī sharm rone se aur ishq meñ bebāk ho ga.e
dho.e ga.e ham itne ki bas paak ho ga.e
in love, bolder I became, once openly I cried
I was washed so thoroughly that I got sanctified
sarf-e-bahā-e-mai hue ālāt-e-mai-kashī
the ye hī do hisāb so yuuñ paak ho ga.e
to make payment for my wine, I sold my drinking gear
just these two burdens I had, thus I managed to clearjis zaḳhm kī ho saktī ho tadbīr rafū kī
likh dījiyo yā rab use qismat meñ adū kī
a wound which can by stitching seal and find its remedy
such wound, O lord, you may write in my rival's destiny
achchhā hai sar-añgusht-e-hinā.ī kā tasavvur
dil meñ nazar aatī to hai ik buuñd lahū kī
tis good that thought of henna painted fingers comes to mind
for, in my heart, a drop of blood I now at least can findġham nahīñ hotā hai āzādoñ ko besh az-yak-nafas
barq se karte haiñ raushan sham-e-mātam-ḳhāna ham
mahfileñ barham kare hai ganjifa-bāz-e-ḳhayāl
haiñ varaq-gardānī-e-nairañg-e-yak-but-ḳhāna ham
bāvajūd-e-yak-jahāñ hañgāma paidā.ī nahīñ
haiñ charāġhān-e-shabistān-e-dil-e-parvāna ham
zo.af se hai ne qanā.at se ye tark-e-justujū ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahī
merī vahshat tirī shohrat hī sahī
If not love, then madness, my feelings deem you be
And so be it my craziness is cause of fame for thee
qat.a kiije na ta.alluq ham se
kuchh nahīñ hai to adāvat hī sahī ghar jab banā liyā tire dar par kahe baġhair
jānegā ab bhī tū na mirā ghar kahe baġhair
At your door, I have encamped, without taking consent
Even now you'll think it not my home, till I comment?
kahte haiñ jab rahī na mujhe tāqat-e-suḳhan
jānūñ kisī ke dil kī maiñ kyūñkar kahe baġhair
She asks me when my speech is gone, when I am frail and weak
"how can I fathom your desires, when you will not speak?"shikve ke naam se be-mehr ḳhafā hotā hai
ye bhī mat kah ki jo kahiye to gila hotā hai
unkind, at mere mention of complaint she is annoyed
do not even utter this as grievance is implied
pur huuñ maiñ shikve se yuuñ raag se jaise baajā
ik zarā chheḌiye phir dekhiye kyā hotā hai
I am so full of complaint, as instruments with air
you have to but lightly blow, and then see what is therekyuuñ jal gayā na tāb-e-ruḳh-e-yār dekh kar
jaltā huuñ apnī tāqat-e-dīdār dekh kar
why didn't I turn to ashes seeing her face so glowing, bright
by envy now I am inflamed, at strength of my own sight
ātish-parast kahte haiñ ahl-e-jahāñ mujhe
sargarm-e-nāla-hā-e-sharar-bār dekh kar
a worshipper of fire thus they all hold me to be
watching me spout fiery sighs of sorrow zealouslyhuuñ maiñ bhī tamāshā.i-e-nairañg-e-tamannā
matlab nahīñ kuchh is se ki matlab hī bar aave jo na naqd-e-dāġh-e-dil kī kare shola pāsbānī
to fasurdagī nihāñ hai ba-kamīn-e-be-zabānī
mujhe us se kyā tavaqqo ba-zamāna-e-javānī
kabhī kūdkī meñ jis ne na sunī mirī kahānī
yuuñ hī dukh kisī ko denā nahīñ ḳhuub varna kahtā
ki mire adū ko yā rab mile merī zindagānī kī vafā ham se to ġhair is ko jafā kahte haiñ
hotī aa.ī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ
When she's loyal to me others, carp cavil complain
To rant against what's good has been the world's refrain
aaj ham apnī pareshāni-e-ḳhātir un se
kahne jaate to haiñ par dekhiye kyā kahte haiñ
For sake of my afflictions I do go to her today
But when I get there let us see what I have to sayhāsil se haath dho baiTh ai ārzū-ḳhirāmī
dil josh-e-girya meñ hai Duubī huī asāmī
us sham.a kī tarah se jis ko koī bujhā de
maiñ bhī jale-huoñ meñ huuñ dāġh-e-nā-tamāmī
karte ho shikva kis kā tum aur bevafā.ī
sar pīTte haiñ apnā ham aur nek-nāmī
sad-rañg-e-gul katarnā dar-parda qatl karnā raftār-e-umr qat-e-rah-e-iztirāb hai
is saal ke hisāb ko barq āftāb hai
mīnā-e-mai hai sarv nashāt-e-bahār se
bāl-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharāb hai
zaḳhmī huā hai pāshna pā-e-sabāt kā
ne bhāgne kī guuñ na iqāmat kī taab hai
jādād-e-bāda-noshī-e-rindāñ hai shash-jihat tum jaano tum ko ġhair se jo rasm-o-rāh ho
mujh ko bhī pūchhte raho to kyā gunāh ho
your wish, if friendly with my rival you do choose to be
what sin accrues if you still keep enquiring after me
bachte nahīñ muvāḳhaza-e-roz-e-hashr se
qātil agar raqīb hai to tum gavāh ho
nobody from punishment will judgement day then spare
for if my rival murders, witness you will have to bearsarāpā rehn-e-ishq-o-nā-guzīr-e-ulfat-e-hastī
ibādat barq kī kartā huuñ aur afsos hāsil kā
ba-qadr-e-zarf hai saaqī ḳhumār-e-tishna-kāmī bhī
jo tū dariyā-e-mai hai to maiñ ḳhamyāza huuñ sāhil kā
zi-bas ḳhūñ-gashta-e-rashk-e-vafā thā vahm bismil kā
churāyā zaḳhm-hā-e-dil ne paanī teġh-e-qātil kā
nigāh-e-chashm-e-hāsid vaam le ai zauq-e-ḳhud-bīnī vārasta us se haiñ ki mohabbat hī kyuuñ na ho
kiije hamāre saath adāvat hī kyuuñ na ho
chhoḌā na mujh meñ zo.af ne rañg iḳhtilāt kā
hai dil pe baar naqsh-e-mohabbat hī kyuuñ na ho
hai mujh ko tujh se tazkira-e-ġhair kā gila
har-chand bar-sabīl-e-shikāyat hī kyuuñ na ho
paidā huī hai kahte haiñ har dard kī davā na hogā yak-bayābāñ māñdgī se zauq kam merā
habāb-e-mauja-e-raftār hai naqsh-e-qadam merā
mohabbat thī chaman se lekin ab ye be-dimāġhī hai
ki mauj-e-bū-e-gul se naak meñ aatā hai dam merā
rah-e-ḳhvābīda thī gardan-kash-e-yak-dars-e-āgāhī
zamīñ ko saili-e-ustād hai naqsh-e-qadam merā
surāġh-āvāra-e-arz-e-do-ālam shor-e-mahshar huuñ satā.ish-gar hai zāhid is qadar jis bāġh-e-rizvāñ kā
vo ik guldasta hai ham be-ḳhudoñ ke tāq-e-nisyāñ kā
bayāñ kyā kījiye be-dād-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ kā
ki har yak qatra-e-ḳhūñ daana hai tasbīh-e-marjāñ kā
na aa.ī satvat-e-qātil bhī maane mere nāloñ ko
liyā dāñtoñ meñ jo tinkā huā resha niyastāñ kā
dikhā.ūñgā tamāshā dī agar fursat zamāne ne kahūñ jo haal to kahte ho mudda.ā kahiye
tumhīñ kaho ki jo tum yuuñ kaho to kyā kahiye
when I narrate my sorry state, you ask "what do you seek?"
if in this vein you talk to me, how can I ever speak
na kahiyo ta.an se phir tum ki ham sitamgar haiñ
mujhe to ḳhū hai ki jo kuchh kaho bajā kahiye
this, proudly you should never say," I am a tyrant, true"
As I am in the habit of always agreeing with youlo ham marīz-e-ishq ke bīmār-dār haiñ
achchhā agar na ho to masīhā kā kyā ilaaj dīvāngī se dosh pe zunnār bhī nahīñ
ya.anī hamāre jeb meñ ik taar bhī nahīñ
in frenzy, on my shoulder, there's not even a thread
sign of my idol worship, has vanished now I dread
dil ko niyāz-e-hasrat-e-dīdār kar chuke
dekhā to ham meñ tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
for a glimpse I sacrificed, my heart to this degree
that when I looked I found I had not the strength to seechaak kī ḳhvāhish agar vahshat ba-uryānī kare
sub.h ke mānind zaḳhm-e-dil garebānī kare
jalve kā tere vo aalam hai ki gar kiije ḳhayāl
dīda-e-dil ko ziyārat-gāh-e-hairānī kare
hai shikastan se bhī dil naumīd yā rab kab talak
ābgīna koh par arz-e-girāñ-jānī kare
mai-kada gar chashm-e-mast-e-nāz se paave shikast ā.īna kyuuñ na duuñ ki tamāshā kaheñ jise
aisā kahāñ se lā.ūñ ki tujh sā kaheñ jise
hasrat ne lā rakhā tirī bazm-e-ḳhayāl meñ
gul-dasta-e-nigāh suvaidā kaheñ jise
phūñkā hai kis ne gosh-e-mohabbat meñ ai ḳhudā
afsūn-e-intizār tamannā kaheñ jise
sar par hujūm-e-dard-e-ġharībī se Dāliye lab-e-īsā kī jumbish kartī hai gahvāra-jumbānī
qayāmat kushta-e-la.al-e-butāñ kā ḳhvāb-e-sañgīñ hai
bayābān-e-fanā hai bād-e-sahrā-e-talab 'ġhālib'
pasīna tausan-e-himmat to sail-e-ḳhāna-e-zīñ hai shumār-e-sub.ha marġhūb-e-but-e-mushkil-pasand aayā
tamāshā-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aayā
ba-faiz-e-be-dilī naumīdi-e-jāved āsāñ hai
kushāyish ko hamārā uqda-e-mushkil-pasand aayā
havā-e-sair-e-gul ā.īna-e-be-mehri-e-qātil
ki andāz-e-ba-ḳhūñ-ġhaltīdan-e-bismil-pasand aayā
ravānī-hā-e-mauj-e-ḳhūn-e-bismil se Tapaktā hai sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho ga.iiñ
ḳhaak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho ga.iiñ
yaad thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.īyāñ
lekin ab naqsh-o-nigār-e-tāq-e-nisyāñ ho ga.iiñ
thiiñ banāt-un-nāsh-e-gardūñ din ko parde meñ nihāñ
shab ko un ke jī meñ kyā aa.ī ki uryāñ ho ga.iiñ
qaid meñ yāqūb ne lī go na yūsuf kī ḳhabar qayāmat hai ki sun lailā kā dasht-e-qais meñ aanā
ta.ajjub se vo bolā yuuñ bhī hotā hai zamāne meñ
dil-e-nāzuk pe us ke rahm aatā hai mujhe 'ġhālib'
na kar sargarm us kāfir ko ulfat āzmāne meñ fāriġh mujhe na jaan ki mānind-e-sub.h-o-mehr
hai dāġh-e-ishq zīnat-e-jeb-e-kafan hunūz
hai nāz-e-muflisāñ zar-e-az-dast-rafta par
huuñ gul-farosh-e-shoḳhi-e-dāġh-e-kohan hunūz
mai-ḳhāna-e-jigar meñ yahāñ ḳhaak bhī nahīñ
ḳhamyāza khīñche hai but-e-be-dād-fan hunūz
juuñ jaada sar-ba-kū-e-tamannā-e-be-dilī māna-e-dasht-navardī koī tadbīr nahīñ
ek chakkar hai mire paañv meñ zanjīr nahīñ
shauq us dasht meñ dauḌāye hai mujh ko ki jahāñ
jaada ġhair az nigah-e-dīda-e-tasvīr nahīñ
hasrat-e-lazzat-e-āzār rahī jaatī hai
jāda-e-rāh-e-vafā juz dam-e-shamshīr nahīñ
rañj-e-naumīdi-e-jāved gavārā rahiyo koh ke hoñ bār-e-ḳhātir gar sadā ho jā.iye
be-takalluf ai sharār-e-jasta kyā ho jā.iye
baiza-āsā nañg-e-bāl-o-par hai ye kunj-e-qafas
az-sar-e-nau zindagī ho gar rihā ho jā.iye
vus.at-e-mashrab niyāz-e-kulfat-e-vahshat 'asad'
yak-bayābāñ sāya-e-bāl-e-humā ho jā.iye lāġhar itnā huuñ ki gar tū bazm meñ jā de mujhe
merā zimma dekh kar gar koī batlā de mujhe
kyā ta.ajjub hai jo us ko dekh kar aa jaa.e rahm
vaañ talak koī kisī hiile se pahuñchā de mujhe
muñh na dikhlāve na dikhlā par ba-andāz-e-itāb
khol kar parda zarā āñkheñ hī dikhlā de mujhe
yaañ talak merī giraftārī se vo ḳhush hai ki maiñ mat mardumak-e-dīda meñ samjho ye nigāheñ
haiñ jam.a suvaidā-e-dil-e-chashm meñ aaheñ
kis dil pe hai azm-e-saf-e-mizhgān-e-ḳhud-ārā
ā.īne ke pāyāb se utrī haiñ sipāheñ
dair-o-haram ā.īna-e-takrār-e-tamannā
vāmāñdagī-e-shauq tarāshe hai panāheñ
juuñ mardumak-e-chashm se hoñ jam.a nigāheñ hai vasl hijr ālam-e-tamkīn-o-zabt meñ
māshūq-e-shoḳh o āshiq-e-dīvāna chāhiye
us lab se mil hī jā.egā bosa kabhī to haañ
shauq-e-fuzūl o jur.at-e-rindāna chāhiye
āshiq naqāb-e-jalva-e-jānāna chāhiye
fānūs-e-sham.a ko par-e-parvāna chāhiye maiñ aur bazm-e-mai se yuuñ tishna-kām aa.uuñ
gar maiñ ne kī thī tauba saaqī ko kyā huā thā
thirsty from gathering of wine would I leave this way
if I had vowed to abstain where was the saaqii pray?
hai ek tiir jis meñ donoñ chhide paḌe haiñ
vo din ga.e ki apnā dil se jigar judā thā
both of these lie pierced now, with merely one dart
those days are past when my heart and liver were apartsad jalva rū-ba-rū hai jo mizhgāñ uThā.iye
tāqat kahāñ ki diid kā ehsāñ uThā.iye
hai sañg par barāt-e-ma.āsh-e-junūn-e-ishq
ya.anī hunūz minnat-e-tiflāñ uThā.iye
dīvār bār-e-minnat-e-mazdūr se hai ḳham
ai ḳhānumāñ-ḳharāb na ehsāñ uThā.iye
yā mere zaḳhm-e-rashk ko rusvā na kījiye hai bas-ki har ik un ke ishāre meñ nishāñ aur
karte haiñ mohabbat to guzartā hai gumāñ aur
in every gesture of her's, there, ulterior motive lies
when she professes love, therefore, suspicion does arise
yā-rab vo na samjhe haiñ na samjheñge mirī baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur
O Lord! She never understood nor ever will my plea
give her another heart or else the gift of speech to mechāhiye achchhoñ ko jitnā chāhiye
ye agar chāheñ to phir kyā chāhiye
love beauties to your full relish
if they love back what else to wish
sohbat-e-rindāñ se vājib hai hazar
jā-e-mai apne ko khīñchā chāhiye
the company of drunks eschew
in bars let wine not near youbaaġh pā kar ḳhafaqānī ye Darātā hai mujhe
sāya-e-shāḳh-e-gul af.ī nazar aatā hai mujhe
jauhar-e-teġh ba-sar-chashma-e-dīgar mālūm
huuñ maiñ vo sabza ki zahrāb ugātā hai mujhe
mudda.ā mahv-e-tamāshā-e-shikast-e-dil hai
ā.ina-ḳhāna meñ koī liye jaatā hai mujhe
naala sarmāya-e-yak-ālam o aalam kaf-e-ḳhāk jis bazm meñ tū naaz se guftār meñ aave
jaañ kālbad-e-sūrat-e-dīvār meñ aave
saa.e kī tarah saath phireñ sarv o sanobar
tū is qad-e-dilkash se jo gulzār meñ aave
tab nāz-e-girāñ mā.igi-e-ashk bajā hai
jab laḳht-e-jigar dīda-e-ḳhūñ-bār meñ aave
de mujh ko shikāyat kī ijāzat ki sitamgar ġhāfil ba-vahm-e-nāz ḳhud-ārā hai varna yaañ
be-shāna-e-sabā nahīñ turra gayāh kā
bazm-e-qadah se aish-e-tamannā na rakh ki rañg
said-e-ze-dām-e-jasta hai us dām-gāh kā
rahmat agar qubūl kare kyā ba.iid hai
sharmindagī se uzr na karnā gunāh kā
maqtal ko kis nashāt se jaatā huuñ maiñ ki hai zulmat-kade meñ mere shab-e-ġham kā josh hai
ik sham.a hai dalīl-e-sahar so ḳhamosh hai
ne muzhda-e-visāl na nazzāra-e-jamāl
muddat huī ki āshtī-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiyā hai husn-e-ḳhud-ārā ko be-hijāb
ai shauq! haañ ijāzat-e-taslīm-e-hosh hai
gauhar ko aqd-e-gardan-e-ḳhūbāñ meñ dekhnā chashm-e-ḳhūbāñ ḳhāmushī meñ bhī navā-pardāz hai
surma to kahve ki dūd-e-sho.ala-e-āvāz hai
paikar-e-ushshāq sāz-e-tāla-e-nā-sāz hai
naala goyā gardish-e-saiyyāra kī āvāz hai
dast-gāh-e-dīda-e-ḳhūñ-bār-e-majnūñ dekhnā
yak-bayābāñ jalva-e-gul farsh-e-pā-andāz hai
chashm-e-ḳhūbāñ mai-farosh-e-nashshah-zār-e-nāz hai yaad hai shādī meñ bhī hañgāma-e-yā-rab mujhe
sub.ha-e-zāhid huā hai ḳhanda zer-e-lab mujhe
hai kushād-e-ḳhātir-e-vā-basta dar rahn-e-suḳhan
thā tilism-e-qufl-e-abjad ḳhāna-e-maktab mujhe
yā rab is āshuftagī kī daad kis se chāhiye
rashk āsā.ish pe hai zindāniyoñ kī ab mujhe
tab.a hai mushtāq-e-lazzat-hā-e-hasrat kyā karūñ mehrbāñ ho ke bulā lo mujhe chāho jis vaqt
maiñ gayā vaqt nahīñ huuñ ki phir aa bhī na sakūñ
being kind at any time you please, you can call out for me
for I am not like time once past, again can never be
zo.af meñ tāna-e-aġhyār kā shikva kyā hai
baat kuchh sar to nahīñ hai ki uThā bhī na sakūñ
of rival's taunts, in weakened state, why should complaints unfold
'tis merely talk and not my head which I cannot upholdzindagī apnī jab is shakl se guzrī 'ġhālib'
ham bhī kyā yaad kareñge ki ḳhudā rakhte the vus.at-e-sa.i-e-karam dekh ki sar-tā-sar-e-ḳhāk
guzre hai ābla-pā abr-e-guhar-bār hunūz
yak-qalam kāġhaz-e-ātish-zada hai safha-e-dasht
naqsh-e-pā meñ hai tab-e-garmī-e-raftār hunūz
dāġh-e-atfāl hai dīvāna ba-kohsār hunūz
ḳhalvat-e-sañg meñ hai naala talab-gār hunūz
ḳhāna hai sail se ḳhū-karda-e-dīdār hunūz shab ḳhumār-e-shauq-e-sāqī rustaḳhez-andāza thā
tā-muhīt-e-bāda sūrat ḳhāna-e-ḳhamyāza thā
yak qadam vahshat se dars-e-daftar-e-imkāñ khulā
jaada ajzā-e-do-ālam dasht kā shīrāza thā
māna-e-vahshat-ḳhirāmī-hā-e-lailā kaun hai
ḳhāna-e-majnūn-e-sahrā-gard be-darvāza thā
pūchh mat rusvā.i-e-andāz-e-istiġhnā-e-husn hujūm-e-nāla hairat ājiz-e-arz yak-afġhāñ hai
ḳhamoshī resha-e-sad-nīstāñ se ḳhas-ba-dandāñ hai
takalluf-bar-taraf hai jāñ-sitāñ-tar lutf-e-bad-ḳhūyāñ
nigāh-e-be-hijāb-e-nāz teġh-e-tez-e-uryāñ hai
huī ye kasrat-e-ġham se talaf kaifiyat-e-shādī
ki sub.h-e-īd mujh ko bad-tar az-chāk-e-garebāñ hai
dil o diiñ naqd lā saaqī se gar saudā kiyā chāhe dard minnat-kash-e-davā na huā
maiñ na achchhā huā burā na huā
my pain did not seek favors from any opiate
I don't mind the fact that I did not recuperate
jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ ko
ik tamāshā huā gila na huā
you collect my enemies, why in this manner? pray
a spectacle this is and not the way to remonstratetum apne shikve kī bāteñ na khod khod ke pūchho
hazar karo mire dil se ki is meñ aag dabī hai
dilā ye dard-o-alam bhī to muġhtanim hai ki āḳhir
na girya-e-saharī hai na āh-e-nīm-shabī hai
nazar ba-naqs-e-gadāyāñ kamāl-e-be-adabī hai
ki ḳhār-e-ḳhushk ko bhī dāvā-e-chaman-nasabī hai
huā visāl se shauq-e-dil-e-harīs ziyāda ishq tāsīr se naumed nahīñ
jāñ-sapārī shajar-e-bed nahīñ
saltanat dast-ba-dast aa.ī hai
jām-e-mai ḳhātam-e-jamshed nahīñ
hai tajallī tirī sāmān-e-vajūd
zarra be-partav-e-ḳhurshed nahīñ
rāz-e-māshūq na rusvā ho jaa.e husn ġhamze kī kashākash se chhuTā mere ba.ad
baare ārām se haiñ ahl-e-jafā mere ba.ad
after me, beauty was spared the strain of coquetry
in great comfort are these cruel damsels after me
mansab-e-sheftagī ke koī qābil na rahā
huī māzūli-e-andāz-o-adā mere ba.ad
of rank, deserving none remains amongst those lovelorn
grace and airs are all deposed, for now that I am gonemuzhda ai zauq-e-asīrī ki nazar aatā hai
dām-e-ḳhālī qafas-e-murġh-e-giraftār ke paas
jigar-e-tishna-e-āzār tasallī na huā
jū-e-ḳhūñ ham ne bahā.ī bun-e-har ḳhaar ke paas
muñd ga.iiñ kholte hī kholte āñkheñ hai hai
ḳhuub vaqt aa.e tum is āshiq-e-bīmār ke paas
maiñ bhī ruk ruk ke na martā jo zabāñ ke badle vo aa ke ḳhvāb meñ taskīn-e-iztirāb to de
vale mujhe tapish-e-dil majāl-e-ḳhvāb to de
in my dreams, she would appear, perhaps, to give respite
but first, my heartache should allow me to sleep at night
kare hai qatl lagāvaT meñ terā ro denā
tirī tarah koī teġh-e-nigah ko aab to de
your weeping at my teasing you, stabs me thru the heart
none other can, save you, such edge, to dagger eyes imparthazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle
bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle
I have a thousand yearnings , each one afflicts me so
Many were fulfilled for sure, not enough although
Dare kyuuñ merā qātil kyā rahegā us kī gardan par
vo ḳhuuñ jo chashm-e-tar se umr bhar yuuñ dam-ba-dam nikle
Why is my murderer afraid would she have to account
For blood that ceaselessly, from these eyes does flowkaabe meñ jā rahā to na do ta.ana kyā kaheñ
bhūlā huuñ haqq-e-sohbat-e-ahl-e-kunisht ko
taa.at meñ tā rahe na mai-o-añgbīñ kī laag
dozaḳh meñ Daal do koī le kar bahisht ko
huuñ munharif na kyuuñ rah-o-rasm-e-savāb se
TeḌhā lagā hai qat qalam-e-sarnavisht ko
'ġhālib' kuchh apnī sa.ī se lahnā nahīñ mujhe huzūr-e-shāh meñ ahl-e-suḳhan kī āzmā.ish hai
chaman meñ ḳhush-navāyan-e-chaman kī āzmā.ish hai
qad o gesū meñ qais o kohkan kī āzmā.ish hai
jahāñ ham haiñ vahāñ dār-o-rasan kī āzmā.ish hai
kareñge kohkan ke hausle kā imtihān āḳhir
abhī us ḳhasta ke nerve tan kī āzmā.ish hai
nasīm-e-misr ko kyā pīr-e-kan.āñ kī havā-ḳhvāhī us bazm meñ mujhe nahīñ bantī hayā kiye
baiThā rahā agarche ishāre huā kiye
I couldn't chance at bashfulness, there in her company
though signaled to get up and leave, stayed sitting stubbornly
dil hī to hai siyāsat-e-darbāñ se Dar gayā
maiñ aur jā.ūñ dar se tire bin sadā kiye
Tis just a heart, so it got scared then by your sentry's clout
else I from your doorstep depart sans even calling out?bahut sahī ġham-e-gītī sharāb kam kyā hai
ġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ mujh ko ġham kyā hai
tumhārī tarz-o-ravish jānte haiñ ham kyā hai
raqīb par hai agar lutf to sitam kyā hai
suḳhan meñ ḳhāma-e-ġhālib kī ātish-afshānī
yaqīñ hai ham ko bhī lekin ab us meñ dam kyā hai
kaTe to shab kaheñ kaaTe to saañp kahlāve maze jahān ke apnī nazar meñ ḳhaak nahīñ
sivā.e ḳhūn-e-jigar so jigar meñ ḳhaak nahīñ
magar ġhubār hue par havā uḌā le jaa.e
vagarna taab o tavāñ bāl-o-par meñ ḳhaak nahīñ
ye kis bahīsht-shamā.il kī aamad aamad hai
ki ġhair-e-jalva-e-gul rahguzar meñ ḳhaak nahīñ
bhalā use na sahī kuchh mujhī ko rahm aatā taġhāful-dost huuñ merā dimāġh-e-ajz aalī hai
agar pahlū-tahī kiije to jā merī bhī ḳhālī hai
rahā ābād aalam ahl-e-himmat ke na hone se
bhare haiñ jis qadar jām-o-subū mai-ḳhāna ḳhālī hai kyūñkar us but se rakhūñ jaan aziiz
kyā nahīñ hai mujhe īmān aziiz
how shall I keep life do say, from that idol free?
do you think that my faith and creed are not dear to me?
dil se niklā pe na niklā dil se
hai tire tiir kā paikān aziiz
though from my heart it did depart, yet it did not free
your arrow's pointed tip you see, is so dear to medil lagā kar lag gayā un ko bhī tanhā baiThnā
baare apnī bekasī kī ham ne paa.ī daad yaañ
haiñ zavāl-āmāda ajzā āfrīnash ke tamām
mahr-e-gardūñ hai charāġh-e-rahguzār-e-bād yaañ
hai tarahhum-āfrīñ ārā.ish-e-be-dād yaañ
ashk-e-chashm-e-dām hai har dāna-e-sayyād yaañ
hai gudāz-e-mom andāz-e-chakīdan-hā-e-ḳhūñ afsos ki dandāñ kā kiyā rizq falak ne
jin logoñ kī thī dar-ḳhur-e-aqd-e-guhar añgusht
kaafī hai nishānī tirā chhalle kā na denā
ḳhālī mujhe dikhlā ke ba-vaqt-e-safar añgusht
likhtā huuñ 'asad' sozish-e-dil se suḳhan-e-garm
tā rakh na sake koī mire harf par añgusht nahīñ hai zaḳhm koī baḳhiye ke dar-ḳhur mire tan meñ
huā hai tār-e-ashk-e-yās rishta chashm-e-sozan meñ
huī hai māne-e-zauq-e-tamāshā ḳhāna-vīrānī
kaf-e-sailāb baaqī hai ba-rañg-e-pumba rauzan meñ
vadī.at-ḳhāna-e-bedād-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ huuñ
nagīn-e-nām-e-shāhid hai mire har qatra-e-ḳhūñ tan meñ
bayāñ kis se ho zulmat-gustarī mere shabistāñ kī kal ke liye kar aaj na ḳhissat sharāb meñ
ye sū-e-zan hai sāqi-e-kausar ke baab meñ
haiñ aaj kyuuñ zalīl ki kal tak na thī pasand
gustāḳhi-e-farishta hamārī janāb meñ
jaañ kyuuñ nikalne lagtī hai tan se dam-e-samā
gar vo sadā samā.ī hai chañg o rabāb meñ
rau meñ hai raḳhsh-e-umr kahāñ dekhiye thame bisāt-e-ijz meñ thā ek dil yak qatra ḳhuuñ vo bhī
so rahtā hai ba-andāz-e-chakīdan sar-nigūñ vo bhī
rahe us shoḳh se āzurda ham chande takalluf se
takalluf bartaraf thā ek andāz-e-junūñ vo bhī
ḳhayāl-e-marg kab taskīñ dil-e-āzurda ko baḳhshe
mire dām-e-tamannā meñ hai ik said-e-zabūñ vo bhī
na kartā kaash naala mujh ko kyā mālūm thā hamdam huī tāḳhīr to kuchh bā.is-e-tāḳhīr bhī thā
aap aate the magar koī ināñ-gīr bhī thā
tum se bejā hai mujhe apnī tabāhī kā gila
us meñ kuchh shā.iba-e-ḳhūbi-e-taqdīr bhī thā
tū mujhe bhuul gayā ho to patā batlā duuñ
kabhī fitrāk meñ tere koī naḳhchīr bhī thā
qaid meñ hai tire vahshī ko vahī zulf kī yaad sitam-kash maslahat se huuñ ki ḳhūbāñ tujh pe āshiq haiñ
takalluf bartaraf mil jā.egā tujh sā raqīb āḳhir juz qais aur koī na aayā ba-rū-e-kār
sahrā magar ba-tañgi-e-chashm-e-hasūd thā
āshuftagī ne naqsh-e-suvaidā kiyā durust
zāhir huā ki daaġh kā sarmāya duud thā
thā ḳhvāb meñ ḳhayāl ko tujh se muāmla
jab aañkh khul ga.ī na ziyāñ thā na suud thā
letā huuñ maktab-e-ġham-e-dil meñ sabaq hanūz āmad-e-sailāb-e-tūfān-e-sadā-e-āb hai
naqsh-e-pā jo kaan meñ rakhtā hai uñglī jaada se
bazm-e-mai vahshat-kada hai kis kī chashm-e-mast kā
shīshe meñ nabz-e-parī pinhāñ hai mauj-e-bāda se
dekhtā huuñ vahshat-e-shauq-e-ḳharosh-āmāda se
fāl-e-rusvā.ī sirishk-e-sar-ba-sahrā-dāda se
daam gar sabze meñ pinhāñ kījiye tā.ūs ho nafas na anjuman-e-ārzū se bāhar khīñch
agar sharāb nahīñ intizār-e-sāġhar khīñch
kamāl-e-garmī-e-sa.ī-e-talāsh-e-dīd na pūchh
ba-rañg-e-ḳhār mire aa.ine se jauhar khīñch
tujhe bahāna-e-rāhat hai intizār ai dil
kiyā hai kis ne ishārā ki nāz-e-bistar khīñch
tirī taraf hai ba-hasrat nazāra-e-nargis harīf-e-matlab-e-mushkil nahīñ fusūn-e-niyāz
duā qubūl ho yā rab ki umr-e-ḳhizr darāz
na ho ba-harzah bayābāñ-navard-e-vahm-e-vajūd
hanūz tere tasavvur meñ hai nasheb-o-farāz
visāl jalva tamāshā hai par dimāġh kahāñ
ki diije ā.ina-e-intizār ko pardāz
har ek zarra-e-āshiq hai āftāb-parast vaañ pahuñch kar jo ġhash aatā pa.e-ham hai ham ko
sad-rah āhañg-e-zamīñ bos-e-qadam hai ham ko
dil ko maiñ aur mujhe dil mahv-e-vafā rakhtā hai
kis qadar zauq-e-giriftāri-e-ham hai ham ko
zof se naqsh-e-pa-e-mor hai tauq-e-gardan safā-e-hairat-e-ā.īna hai sāmān-e-zang āḳhir
taġhayyur āb-e-bar-jā-māñda kā paatā hai rañg āḳhir
na kī sāmān-e-aish-o-jāh ne tadbīr vahshat kī
huā jām-e-zumurrad bhī mujhe dāġh-e-palañg āḳhir
ḳhat-e-nau-ḳhez nīl-e-chashm zaḳhm-e-sāfī-e-āriz
liyā ā.īna ne hirz-e-par-e-tūtī ba-chang āḳhir
hilāl-āsā tahī rah gar kushādan-hā-e-dil chāhe dil mirā soz-e-nihāñ se be-muhābā jal gayā
ātish-e-ḳhāmosh kī mānind goyā jal gayā
in passion's hidden heat my heart, did choose to bravely burn
like fire silent and unseen, to ashes it did turn
dil meñ zauq-e-vasl o yād-e-yār tak baaqī nahīñ
aag is ghar meñ lagī aisī ki jo thā jal gayā
neither the yen for union nor her thoughts this heart retained
for such a blaze consumed this house, burnt all that it containedham par jafā se tark-e-vafā kā gumāñ nahīñ
ik chheḌ hai vagarna murād imtihāñ nahīñ
---
---
kis muñh se shukr kījiye is lutf-e-ḳhās kā
pursish hai aur pā-e-suḳhan darmiyāñ nahīñ
---
---ga.ī vo baat ki ho guftugū to kyūñkar ho
kahe se kuchh na huā phir kaho to kyūñkar ho
gone is the time I used to think, how will I speak with you
but talking did not help at all, now say what can I do
hamāre zehn meñ us fikr kā hai naam visāl
ki gar na ho to kahāñ jaa.eñ ho to kyūñkar ho
just union with my loved one is, now all that bothers me
where will I go were not to be, if were, how can it beġhair leñ mahfil meñ bose jaam ke
ham raheñ yuuñ tishna-lab paiġhām ke
rivals get to sip from goblets in her company
thirsty for even a message I'm destined to be
ḳhastagī kā tum se kyā shikva ki ye
hathkanDe haiñ charḳh-e-nīlī-fām ke
why should I complain to you for my sorry state
tis the mischief of the sky that decides my fatehar qadam dūrī-e-manzil hai numāyāñ mujh se
merī raftār se bhāge hai bayābāñ mujh se
dars-e-unvān-e-tamāshā ba-taġhāful ḳhush-tar
hai nigah rishta-e-shīrāza-e-mizhgāñ mujh se
vahshat-e-ātish-e-dil se shab-e-tanhā.ī meñ
sūrat-e-dūd rahā saaya gurezāñ mujh se
ġham-e-ushshāq na ho sādgī-āmoz-e-butāñ zamāna saḳht kam-āzār hai ba-jān-e-asad
vagarna ham to tavaqqo.a ziyāda rakhte haiñ
tan-e-ba-band-e-havas dar nadāda rakhte haiñ
dil-e-z-kār-e-jahāñ ūftāda rakhte haiñ
tamīz-e-zishti-o-nekī meñ laakh bāteñ haiñ
ba-aks-e-ā.ina yak-fard-e-sāda rakhte haiñ
ba-rañg-e-sāya hameñ bandagī meñ hai taslīm kahte to ho tum sab ki but-e-ġhāliyā-mū aa.e
yak martaba ghabrā ke kaho koī ki vo aa.e
huuñ kashmakash-e-naz.a meñ haañ jazb-e-mohabbat
kuchh kah na sakūñ par vo mire pūchhne ko aa.e
hai sā.iqa o sho.ala o sīmāb kā aalam
aanā hī samajh meñ mirī aatā nahīñ go aa.e
zāhir hai ki ghabrā ke na bhāgeñge nakīrain ġhuncha-e-nā-shagufta ko duur se mat dikhā ki yuuñ
bose ko pūchhtā huuñ maiñ muñh se mujhe batā ki yuuñ
from afar do not display that unopened bud this way
when I ask you for a kiss, show me with your mouth, "this way"
pursish-e-tarz-e-dilbarī kījiye kyā ki bin kahe
us ke har ek ishāre se nikle hai ye adā ki yuuñ
about her heart-stealing ways, what to ask, as ere she says
her every gesture oozes charm and proclaims " it is this way"masjid ke zer-e-sāya ḳharābāt chāhiye
bhauñ paas aañkh qibla-e-hājāt chāhiye
āshiq hue haiñ aap bhī ek aur shaḳhs par
āḳhir sitam kī kuchh to mukāfāt chāhiye
de daad ai falak dil-e-hasrat-parast kī
haañ kuchh na kuchh talāfī-e-māfāt chāhiye
sīkhe haiñ mah-ruḳhoñ ke liye ham musavvarī gar ḳhāmushī se fā.eda iḳhfā-e-hāl hai
ḳhush huuñ ki merī baat samajhnī muhāl hai
kis ko sunā.ūñ hasrat-e-iz.hār kā gila
dil fard-e-jama-o-ḳharch zabāñ-hā-e-lāl hai
kis parde meñ hai ā.ina-pardāz ai ḳhudā
rahmat ki uzr-ḳhvāh-e-lab-e-be-savāl hai
hai hai ḳhudā-na-ḳhvāsta vo aur dushmanī yak-zarra-e-zamīñ nahīñ be-kār baaġh kā
yaañ jaada bhī fatīla hai laale ke daaġh kā
be-mai kise hai tāqat-e-āshob-e-āgahī
khīñchā hai ijz-e-hausla ne ḳhat ayāġh kā
bulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul
kahte haiñ jis ko ishq ḳhalal hai dimāġh kā
taaza nahīñ hai nashsha-e-fikr-e-suḳhan mujhe shab ki vo majlis-faroz-e-ḳhalvat-e-nāmūs thā
rishta-e-har-sham.a ḳhār-e-kisvat-e-fānūs thā
mash.had-e-āshiq se kosoñ tak jo ugtī hai hinā
kis qadar yā-rab halāk-e-hasrat-e-pā-bos thā
hāsil-e-ulfat na dekhā juz-shikast-e-ārzū
dil-ba-dil paivasta goyā yak lab-e-afsos thā
kyā kahūñ bīmārī-e-ġham kī farāġhat kā bayāñ kār-gāh-e-hastī meñ laala dāġh-sāmāñ hai
barq-e-ḳhirman-e-rāhat ḳhūn-e-garm-e-dahqāñ hai
ġhuncha tā shaguftan-hā barg-e-āfiyat mālūm
bā-vajūd-e-dil-jam.ī ḳhvāb-e-gul pareshāñ hai
ham se rañj-e-betābī kis tarah uThāyā jaa.e
daaġh pusht-e-dast-e-ijz sho.ala ḳhas-ba-dandāñ hai
ishq ke taġhāful se harzah-gard hai aalam na pūchh nusḳha-e-marham jarāhat-e-dil kā
ki us meñ reza-e-almās juzv-e-āzam hai
bahut dinoñ meñ taġhāful ne tere paidā kī
vo ik nigah ki ba-zāhir nigāh se kam hai na thā kuchh to ḳhudā thā kuchh na hotā to ḳhudā hotā
Duboyā mujh ko hone ne na hotā maiñ to kyā hotā
In nothingness God was there, if naught he would persist
Existence has sunk me, what loss, if I did'nt exist
huā jab ġham se yuuñ be-his to ġham kyā sar ke kaTne kā
na hotā gar judā tan se to zaanū par dharā hotā
When so burdenened, why the sorrow, of losing one's head
If it had not been severed, would be, hanging low insteadgar na andoh-e-shab-e-furqat bayāñ ho jā.egā
be-takalluf dāġh-e-mah mohr-e-dahāñ ho jā.egā
zohra gar aisā hī shām-e-hijr meñ hotā hai aab
partav-e-mahtāb sail-e-ḳhānumāñ ho jā.egā
le to luuñ sote meñ us ke paañv kā bosa magar
aisī bātoñ se vo kāfir bad-gumāñ ho jā.egā
dil ko ham sarf-e-vafā samjhe the kyā ma.alūm thā naala juz husn-e-talab ai sitam-ījād nahīñ
hai taqāzā-e-jafā shikva-e-bedād nahīñ
ishq-o-mazdūri-e-ishrat-gah-e-ḳhusruv kyā ḳhuub
ham ko taslīm niko-nāmi-e-farhād nahīñ
kam nahīñ vo bhī ḳharābī meñ pa vus.at mālūm
dasht meñ hai mujhe vo aish ki ghar yaad nahīñ
ahl-e-bīnash ko hai tūfān-e-havādis maktab jab tak dahān-e-zaḳhm na paidā kare koī
mushkil ki tujh se rāh-e-suḳhan vā kare koī
aalam ġhubār-e-vahshat-e-majnūñ hai sar-ba-sar
kab tak ḳhayāl-e-turra-e-lailā kare koī
afsurdagī nahīñ tarab-inshā-e-iltifāt
haañ dard ban ke dil meñ magar jā kare koī
rone se ai nadīm malāmat na kar mujhe luuñ vaam baḳht-e-ḳhufta se yak-ḳhvāb-e-ḳhush vale
'ġhālib' ye ḳhauf hai ki kahāñ se adā karūñ
ḳhush vahshate ki arz-e-junūn-e-fanā karūñ
juuñ gard-e-rāh jāma-e-hastī qabā karūñ
aa ai bahār-e-nāz ki tere ḳhirām se
dastār gird-e-shāḳh-e-gul-e-naqsh-e-pā karūñ
ḳhush uftādgī ki ba-sahrā-e-intizār na gul-e-naġhma huuñ na parda-e-sāz
maiñ huuñ apnī shikast kī āvāz
tū aur ārā.ish-e-ḳham-e-kākul
maiñ aur andesha-hā-e-dūr-darāz
lāf-e-tamkīñ fareb-e-sāda-dilī
ham haiñ aur rāz-hā-e-sīna-gudāz
huuñ giraftār-e-ulfat-e-sayyād phir huā vaqt ki ho bāl-kushā mauj-e-sharāb
de bat-e-mai ko dil-o-dast-e-shanā mauj-e-sharāb
pūchh mat vaj.h-e-siyah-mastī-e-arbāb-e-chaman
sāya-e-tāk meñ hotī hai havā mauj-e-sharāb
jo huā ġharqa-e-mai baḳht-e-rasā rakhtā hai
sar se guzre pe bhī hai bāl-e-humā mauj-e-sharāb
hai ye barsāt vo mausam ki ajab kyā hai agar vo firāq aur vo visāl kahāñ
vo shab-o-roz o māh-o-sāl kahāñ
fursat-e-kārobār-e-shauq kise
zauq-e-nazzāra-e-jamāl kahāñ
dil to dil vo dimāġh bhī na rahā
shor-e-saudā-e-ḳhatt-o-ḳhāl kahāñ
thī vo ik shaḳhs ke tasavvur se qafas meñ huuñ gar achchhā bhī na jāneñ mere shevan ko